hue hum jab se paida apne diwane hue hote

hue hum jab se paida apne diwane hue hote
khuda ko hum pahunchte khud se begane hue hote

maza raushan-dilli ka zindagani hai tajarrud se
hum apne misl shabnam aab aur dane hue hote

mue hum intizar-e-nashsha se khoshon ke ja yarab
huwaida tak se pur-baada paimane hue hote

howenge khak wusat mashrabi ki rah gai hasrat
hum awwal hi se misl-e-dasht virane hue hote

rahe duniya mein be-aish aur shuhud-e-haq se uqba mein
hue zuhhad kor ai kash ke kane hue hote

mai-e-irfan ka zarf aadam hi ko tha gar malak dete
to sat iblis ke sargarm yarane hue hote

abas tum munzawi masjid mein ho zuhhad kya hasil
wo sahab etakaf-e-kunj-e-maikhane hue hote

hue maston pe gar tegh-e-zaban-zan shaikh shekhi mein
jo apne nafs-parwar hote mardane hue hote

agar sad-chaak ho hat us ke lagte aish tha 'uzlat'
dil-e-ushshaq sare kash ke shane hue hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close