hujum-e-be-KHudi mein gham ki taswiren nazar aain

hujum-e-be-khudi mein gham ki taswiren nazar aain
mujhe shishe mein jab rindon ki taqdiren nazar aain

mere zehn-e-rasa ne jazb kar lin hausla pa kar
rukh-e-gul par mashiyyat ki jo tahriren nazar aain

dar-e-zindan se chhut kar bhi wahi hai silsila yani
ki ek zanjir tuti lakh zanjiren nazar aain

chaman wale jinhen jaan-e-chaman kahte the wo kaliyan
mujhe to dagh-ha-e-dil ki taswiren nazar aain

na jaane kitne parde darmiyan hail rahe lekin
shab-e-wada tasawwur mein wo tanwiren nazar aain

wahin par himmat-e-insaniyat ne sans toda hai
jahan taqdir se marub tadbiren nazar aain

koi afsana samjhe ya bayan-e-waqia samjhe
mujhe ek khwab-e-nadida ki tabiren nazar aain

wo insan khud-shanasa-e-rumuz-e-dil nahin 'maikash'
ki jis ko zarf-e-rindana mein taqsiren nazar aain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close