mahsus ho raha hai jo gham meri zat ka

mahsus ho raha hai jo gham meri zat ka
sach puchhiye to dard hai wo kaenat ka

ghar ki ghutan se dur nikal jae aadmi
sadkon pe khauf ho na agar hadsat ka

apne badan ko aur thakao na dosto
dhal jae din to bojh uthana hai raat ka

ek dusre ko zahr pilate hain log ab
baaton mein shahd ghol ke qand-o-nabaat ka

har shakhs tere shahr mein mujrim bana hua
phirta hai dhundhta hua rishta najat ka

is mein kisi ka aks na chehra dikhai de
dhundla gaya hai aaina 'khawar' hayat ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close