hujum-e-ranj-o-alam hai ye nim-jaan ke liye

hujum-e-ranj-o-alam hai ye nim-jaan ke liye
jafa wo karte hain aashiq pe imtihan ke liye

buton ke jaur-o-jafa par main sabr karta hun
yahan ke waste kuchh hai to kuchh wahan ke liye

khuda ke waste rahne de apne dar pe use
bana hai sang ye dil tere aastan ke liye

hamare pahlu-e-ghamgin mein haif ye dil-e-zar
nazakaton se pala ulfat-e-butan ke liye

tapak ke dida-e-pur-nam se kyun na gir jata
bana lahu mera dil chashm-e-khun-chakan ke liye

hawa-e-tund khuda ke liye na chhed mujhe
ghubar-e-rah bana hun main karwan ke liye

kiya hai dard-e-dil-e-zar ne use aajiz
labon pe jaan-e-hazin aai hai fughan ke liye

'jamila' ta-dar-e-mahbub kis tarah jaun
qadam uthana hai dushwar na-tawan ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close