hum bhi zinda hain ajab kawish-e-izhaar ke sath

hum bhi zinda hain ajab kawish-e-izhaar ke sath
guftugu karte hain ghar ke dar-o-diwar ke sath

hum ne aise bhi faqihan-e-haram dekhe hain
bech dete hain fazilat bhi jo dastar ke sath

hairati hun wo musalman ko musalman karne
sar-e-bazar nikal aate hain do-chaar ke sath

kya zarurat hai unhen manzar-o-pas-manzar ki
jo kahani hi badal dete hain kirdar ke sath

aise khurshid ki bhi hum ne pazirai ki
jo dam-e-subh nikalta hai shab-e-tar ke sath

chiz dukkan se utha kar wahin rakh deta hun
roz ye hota hai mujh aise kharidar ke sath

'mohsin'-ehsan mashaqqat ki bhi had hoti hai
tum to mar jaoge bar-e-gham-e-dil-dar ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close