hum dahr ke is virane mein jo kuchh bhi nazara karte hain ashkon ki zaban mein kahte hain aahon mein ishaara karte hain kya tujh ko pata kya tujh ko khabar din raat khayalon mein apne ai kakul-e-giti hum tujh ko jis tarah sanwara karte hain ai mauj-e-bala un ko bhi zara do chaar thapede halke se kuchh log abhi tak sahil se tufan ka nazara karte hain kya jaaniye kab ye pap kate kya jaaniye wo din kab aae jis din ke liye hum ai 'jazbi' kya kuchh na gawara karte hain