hum hi nahin jo teri talab mein Dere Dere phirte hain

hum hi nahin jo teri talab mein dere dere phirte hain
aur bahut se khak udae baal bikhere phirte hain

pas agar sarmaya-e-dil hai sae se hoshiyar raho
in rahon mein bhes badal kar chor lutere phirte hain

main ne suna hai sahra par bhi chhinta to pad jata hai
dekhna ye hai shumi-e-qismat kab din mere phirte hain

rah-e-khirad se mumkin tha aawaz ko sun kar laut aate
rah-e-junun par jaane wale kis ke phere phirte hain

tu ne kabhi tanhai mein do chaar ghadi ye socha hai
tere liye hum thokaren khate sanjh sawere phirte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close