yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main

yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main
jaise ajdad ki jagir mein masruf tha main

tisha-e-waqt ne buniyaad hila di warna
har ghadi zat ki tamir mein masruf tha main

khwab dekha tha mohabbat ka mohabbat ki qasam
phir isi khwab ki tabir mein masruf tha main

lafz rangon mein nahae hue ghar mein aae
teri aawaz ki taswir mein masruf tha main

ek ek pal meri palkon mein simat aaya hai
ahd-e-gum-gashta ki tahrir mein masruf tha main

ab tere waste aabaad karunga duniya
ek arsa teri taqdir mein masruf tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close