hum kahan aur tum kahan jaanan

hum kahan aur tum kahan jaanan
hain kai hijr darmiyan jaanan

raegan wasl mein bhi waqt hua
par hua khub raegan jaanan

mere andar hi to kahin gham hai
kis se puchhun tera nishan jaanan

aalam-e-be-karan-e-rang hai tu
tujh mein thahrun kahan kahan jaanan

main hawaon se kaise pesh aaun
yahi mausam hai kya wahan jaanan

raushni bhar gai nigahon mein
ho gae khwab be-aman jaanan

dard-mandan-e-ku-e-dildari
gae ghaarat jahan tahan jaanan

ab bhi jhilon mein aks padte hain
ab bhi nila hai aasman jaanan

hai jo purkhon tumhaara aks-e-khayal
zakhm aae kahan kahan jaanan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close