hum kis shab-e-siyah ke daman mein bas gae teri ziya-e-rukh ko dil-o-jaan taras gae murjha rahi hain apni umangon ki konplen baadal na jaane kaun si jaanib baras gae ujde the dil so ujde hue hain kuchh aur bhi kya kya na warna kucha-o-bazar bas gae aawargan-e-shauq ne manzil na ki qubul gulshan ka dar khula to wo su-e-qafas gae hai hijr-e-dostan bhi karam dard-e-jaan-faza aankhon mein jo base the wo ab dil mein bas gae