hum na but-KHane mein ne masjid-e-viran mein rahe

hum na but-khane mein ne masjid-e-viran mein rahe
hasrat-o-arzu-e-jalwa-e-jaanan mein rahe

khun hai wo jis se ki ho daman-e-qatil rangin
khun fasid hai jo khali sar-e-mizhgan mein rahe

hum ne masnua se sane ki haqiqat pai
be-sabab hum nahin nazzara-e-khuban mein rahe

subh khurshid ko dekha hawas-e-ariz mein
sham se raushni-e-sham-e-shabistan mein rahe

toda zunnar ko tasbih ko phenka hum ne
ishq-e-rukh tha hawas-e-nur-e-darakhshan mein rahe

ja-ba-ja hum ko rahi jalwa-e-jaanan ki talash
dair-o-kaba mein phire sohbat-e-rahban mein rahe

khalwat-e-dil ki na kuchh qadr ko samjhe haji
tauf-e-kaba ke liye dasht-o-bayaban mein rahe

un asiron ko hui qaid-e-tayyun se najat
jo ki paband tere gesu-e-pechan mein rahe

is zamin mein ghazal ek aur bhi likkho 'bahram'
ye do-ghazla to bhala aap ke diwan mein rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close