hum samajhte hain aazmane ko

hum samajhte hain aazmane ko
uzr kuchh chahiye satane ko

sang-e-dar se tere nikali aag
hum ne dushman ka ghar jalane ko

subh-e-ishrat hai wo na sham-e-visal
hae kya ho gaya zamane ko

bul-hawas roe mere girye pe ab
munh kahan tere muskurane ko

barq ka aasman par hai dimagh
phunk kar mere aashiyane ko

sang-e-sauda junun mein lete hain
apna hum maqbara banane ko

shikwa hai ghair ki kudurat ka
so mere khak mein milane ko

roz-e-mahshar bhi hosh gar aaya
jaenge hum sharab-khane ko

sun ke wasf us pe mar gaya hamdam
khub aaya tha gham uthane ko

koi din hum jahan mein baithe hain
aasman ke sitam uthane ko

chal ke kabe mein sajda kar 'momin'
chhod us but ke aastane ko

naqsh-e-pa-e-raqib ki mehrab
nahin zebinda sar jhukane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close