kyon hai lahja bujha bujha tera kya hua ab wo walwala tera waqfe waqfe se khol kar khidki achchha lagta hai jhankna tera teri aankhon mein jhank kar dekhun aks mera ho aaina tera kya manaega apne dil ki khair jis se pad jae wasta tera tir sa lag raha hai ghairon ko mere sheron pe tabsira tera tut jae na dor sanson ki bandh rakkha hai aasra tera jo bhi milta tha marne wala tha kis se karta main tazkira tera jhank kar teri jhukti aankhon mein padh liya main ne faisla tera kaun samjhega mere dil ka haal kis ne dekha hai dekhna tera jaane kab pighle un ka dil 'raghib' jaane kab hal ho masala tera