hum Thaharne ke nahin umr-e-rawan rakhte hain

hum thaharne ke nahin umr-e-rawan rakhte hain
wo zamin ghumti hai panw jahan rakhte hain

dekhte sab hain magar band zaban rakhte hain
is tarah shahr mein hum amn-o-aman rakhte hain

dil larazta hai to darte hain kahin tut na jae
shakh par ek hi to barg-e-khizan rakhte hain

dhund leta hai har ek shakhs hamein hum shayad
apne hone ka kahin koi nishan rakhte hain

kyun nahin khana-ba-doshon ki tarah ji lete
rehn rakhne ke liye hum bhi makan rakhte hain

bhul ja padh ke puranon ki purani baaten
ab wo sarmaya nae log kahan rakhte hain

ishq ki ibtida aur intiha hum se puchho
phul ko chum ke kanton pe zaban rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close