hum to hon dil se dur rahen pas aur log

hum to hon dil se dur rahen pas aur log
sunghen gul-e-ezar ki bu-bas aur log

waiz hamein dara na wafur-e-gunah se
us ke karam se hote hain be-as aur log

sauda-e-ishq yan to hai sar mein bhara hua
nam-e-junun se karte hain wiswas aur log

aazad-gan-e-ishq har ek haal mein hain shad
honge asir-o-ranj-o-gham-o-yas aur log

hain ser boriya-e-tawakkul ke faqa-mast
hote hain muztarib dam-e-iflas aur log

yan hai faqat hawas dur-e-dandan ke did ki
khate hain us ke danton pe almas aur log

sanjog ek apna tumhaara azal se hai
puchhen brahmanon se buto ras aur log

utthe fana o ek na ek kya baid hai
ab baithne lage hain tere pas aur log

us aab-e-lal par kabhi hum bhi muhit the
lab chus kar bujhae hain ab pyas aur log

hum to na ghar mein aap ke dam-bhar thaharne paen
roz aaen jaen surat-e-anfas aur log

apne nasib mein to na ho aab-e-khizr-e-lab
sairab hon ba-surat-e-ilyas aur log

diwan mein mere nahin bharti ke aise sher
bharte hain jaise safha-e-qirtas aur log

wo bewafa karega meri qadr kya 'qalaq'
karte hain apne aashiqon ka pas aur log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close