hum wo panchhi jin ke ghar se dur basere hote hain

hum wo panchhi jin ke ghar se dur basere hote hain
raat ko khwab khayal ke lashkar dil ko ghere hote hain

soch soch kar mar jati hain khwabon ki tabiren bhi
khwab jo tere hote hain aur khwab jo mere hote hain

ishq ka hasil kuchh bhi ho ek nisbat bhi kya kam shai hai
kuchh nan kuchh to hote hain jo baal bikhere hote hain

dil ki shamen jalne do in aankhon ko raushan kar lo
kahte hain dil jalte hain to dur andhere hote hain

qismat likhti jati hai hum us ko padhte jate hain
'arshad' ab to yaadon hi mein ghar ke phere hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close