har ek fasana zarurat se kuchh ziyaada hai gham-e-zamana zarurat se kuchh ziyaada hai kisi ko ilm nahin kaun kitna pagal hai junun-diwana zarurat se kuchh ziyaada hai zara si baat pe wo hum se ruth jata hai use manana zarurat se kuchh ziyaada hai jo hum ne sikha jo mana wo kitna kam nikla jo hum ne jaana zarurat se kuchh ziyaada hai hum aise shahr mein hain jis mein mulk baste hain yahan khazana zarurat se kuchh ziyaada hai