humne kuchh pankh jo dalan mein rakh chhoDe hain

hum ne kuchh pankh jo dalan mein rakh chhode hain
panchhi aa jaenge is dhyan mein rakh chhode hain

sar-bulandi ho ki ai rahguzar-e-dil hum ne
sare jhagde hi teri shan mein rakh chhode hain

aisa aashob-e-tawazun tha ki patthar sare
khench kar palla-e-mizan mein rakh chhode hain

sochta hun ki wo iman hi le aae kabhi
rakhne kuchh aise bhi iman mein rakh chhode hain

rakh liye rauzan-e-zindan pe parinde sare
jo na wan rakhne the diwan mein rakh chhode hain

aise kuchh din bhi the jo hum se guzare na gae
wapsi ke kisi saman mein rakh chhode hain

aaj ka din hai kisi baad-e-hina chalne ka din
aaj ke lamhe isi shan mein rakh chhode hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close