shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai

shashdar-o-hairan hai jo bhi kharidaron mein hai
ek sukut-e-bekaran har samt bazaron mein hai

naubat-e-qaht-e-masihai yahan tak aa gai
kuchh dinon se aarzu-e-marg bimaron mein hai

wo bhi kya din the ki jab har wasf ek eazaz tha
aaj to azmat qabaon aur dastaron mein hai

ud rahe hain rang phulon ke faqat is baat par
iltifat fasl-e-gul ka zikr kyun kharon mein hai

ai mere naqid mere ashaar kam-paya sahi
kam se kam iblagh to mere sukhan-paron mein hai

bujh nahin sakti kisi surat hawas ki tishnagi
bahr-e-be-payan bhi barish ke talab-garon mein hai

khub-surat shakl mein hum sab darinde hain 'asad'
aadmi kahte hain jis ko wo abhi ghaaron mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close