hum ne parind-e-wasl ke par kat dale hain jazbaat utha rahe the jo sar kat dale hain likhni thi hum ko ek nai dastan-e-hijr sab waqiat-e-dida-e-tar kat dale hain baithi rahe usi qafas-e-unsari mein ab tegh-e-badan ne ruh ke par kat dale hain ab sher zor-e-be-hunari se likhenge hum duniya ne sare dast-e-hunar kat dale hain ji chahta hai dast-e-taraqqi ko kat dun jis ne hamare sare shajar kat dale hain naqqad-e-khushk-zauq ke ghar ho raha hai jashn aaj us ne sare misra-e-tar kat dale hain shamen mukashfat-e-badan ki jalani thin sab marifat ke tar-e-nazar kat dale hain