hun shaiKH mushafi ka main hairan-e-shaeri

hun shaikh mushafi ka main hairan-e-shaeri
allah muflisi mein ye kuchh shan-e-shaeri

raunda use tamam mere rakhsh-e-kilk ne
sauda se bach raha tha jo maidan-e-shaeri

main aur le ke sauda namak us mein bhar diya
tha us ka kam namak jo namakdan-e-shaeri

hindostan ke gardan-e-khurd-o-buzurg par
hai sach to ye mera hi hai ehsan-e-shaeri

pairaw hain meri tarz ke yan chhote aur bade
mulk-e-sukhan ka hun main sulaiman-e-shaeri

rahte hain incha-tani mein ab us ke aur yar
tha hath mein mere jo gareban-e-shaeri

rakhti hai nok-e-khama-e-jadu-raqam hanuz
mizhgan-e-tar se taza gulistan-e-shaeri

mundi jo aankh main ne to chashm-e-zamana se
chhup jaega wunhi mah-e-taban-e-shaeri

main ibtada-e-umr mein muddat talak bahut
chhana hai farsi ka safahan-e-shaeri

baad is ke rekhte ki bhi rakkhi hai wo bina
hairan hain jis ke naqsh-e-taraazan-e-shaeri

kuchh kuchh kahe hain phir arabi mein jo sher-o-nazm
is mein bhi ban gaya hun main sahban-e-shaeri

din raat mere nakhun-e-nok-e-qalam mein hain
lakhon tariq o shewa o unwan-e-shaeri

har sifla ka dahan ye nahin hai ki ho sake
mere siwae sham-e-shabistan-e-shaeri

jis roz mere jism se niklegi meri jaan
ye jaaniyo tu aaj gai jaan-e-shaeri

lakhon tarana-sanj hue is ke reza-chin
ai 'mushafi' mera hi hai wo khwan-e-shaeri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close