hunar-e-zaKHm-numai bhi nahin

hunar-e-zakhm-numai bhi nahin
sila-e-abla-pai bhi nahin

dard-e-sar ab tere hone ka sabab
ab to wo dast-e-hinai bhi nahin

main ne har rang sameta us ka
aur taswir banai bhi nahin

bandagi bhi na mujhe ras aai
aur pindar-e-khudai bhi nahin

jal gaya jis mein mera sara wajud
tu ne wo aag lagai bhi nahin

ai khuda bakht-sinkandar mat de
aur kashkol-gadai bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close