le qaza ehsan tujh par kar chale

le qaza ehsan tujh par kar chale
hum tere aane se pahle mar chale

kucha-e-jaanan mein jaana hai zarur
chahe aara sar pe ya khanjar chale

bas ye hai ku-e-butan ki sarguzisht
sar pe mere saikdon patthar chale

ku-e-jaanan ka na paya kuchh nishan
khizr ke ham-rah hum din bhar chale

pai tere dar pe aa kar zindagi
o masiha kha ke hum thokar chale

dekhiye dekhenge kya roz-e-jaza
yan bashar aae wahan ba-shar chale

ho khizan kyun-kar na gulshan ki bahaar
jab yahan baad-e-saba sar-sar chale

bazm se jate ho duzdida-nazar
nim-bismil kar chale kya kar chale

qaul-e-waiz ne na kuchh tasir ki
kushta-e-kakul pe kab mantar chale

khun teri tirchhi nigahon ne kiya
lakh khanjar ek kushte par chale

farsh par hai yun khiraman rashk-e-mah
arsh par jaise koi akhtar chale

kab hui sauda-e-mizhgan se shifa
nashtaron par saikdon nashtar chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close