husn ki jitni badhin ranaiyan ishq ke sar ho gain ruswaiyan us nigah-e-naz ka aalam na puchh chhu gai jo qalb ki gahraiyan wo harim-e-naz mein bechain hain yaad aati hain meri tanhaiyan un hasin aaankhon mein aansu aa gae aah mere ishq ki ruswaiyan mahfil-e-duniya ko thukra dun magar jalwa-farma hain teri ranaiyan husn ke daman pe dhabba aa gaya dur ja pahunchen meri ruswaiyan mere qadmon mein hai aish-e-jawedan tere gham ki hain karam-farmaiyan ishq ki fitrat hai 'arif' bebasi chal nahin saktin teri khud-araiyan