zinda rahne ka bharam aa ke kahan par tuta ek sitara sa meri shah-rag-e-jaan par tuta ghair-mumkin hai meri khak udata koi main ki khud apni tabahi ke nishan par tuta sud-dar-sud murawwat meri kaam aai hai jab main ikhlas ki mizan-e-ziyan par tuta zahr sa phail chuka hai meri shiryanon mein kaun sa harf meri nok-e-zaban par tuta siskiyan bhar ke 'sharar' kaun wahan rota tha khema-e-khwab sar-e-sham jahan par tuta