husn ko wusaten jo din ishq ko hausla diya

husn ko wusaten jo din ishq ko hausla diya
jo na mile na mit sake wo mujhe muddaa diya

hath mein le ke jam-e-mai aaj wo muskura diya
aql ko sard kar diya ruh ko jagmaga diya

dil pe liya hai dagh-e-ishq kho ke bahaar-e-zindagi
ek gul-e-tar ke waste main ne chaman luta diya

lazzat-e-dard-e-khastagi daulat-e-daman-tahi
tod ke sare hausle ab mujhe ye sila diya

kuchh to kaho ye kya hua tum bhi the sath sath kya
gham mein ye kyun surur tha dard ne kyun maza diya

ab na ye meri zat hai ab na ye kaenat hai
main ne nawa-e-ishq ko saz se yun mila diya

aks jamal-e-yar ka aaina-e-khudi mein hai
ye gham-e-hijr kya diya mujh se mujhe chhupa diya

hashr mein aaftab-e-hashr aur wo shor-e-al-aman
'asghar'-e-but-parast ne zulf ka wasta diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close