husn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jae

husn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jae
chhatri kaun kharidega phir jitni barish ho jae

aisi pyas ki shiddat hai ki main ye duaen karta hun
jitne samundar hain duniya mein sab ki barish ho jae

meri ghazlen us ke sath bitae waqt ka hasil hain
waisi faslen ug aati hain jaisi barish ho jae

chhote chhote talabon se pani chhina jata hai
tum to bas ye kah dete ho thodi barish ho jae

aandhi aae bijli kadke kali ghataen chhane lagen
majburan wo ruke mere ghar itni barish ho jae

tang aaya hun main is hijr-o-wasl ki bunda-bandi se
ya to sukha pad jae ya dhang ki barish ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close