aks ubhra na tha aaina-e-dil-dari ka hijr ne khinch diya daera zangari ka naz karta tha tawalat pe ki waqt-e-rukhsat bhed sae pe khula sham ki ayyari ka jis qadar kharch kiye sans hui arzani nirkh girta gaya rasm-o-rah-e-bazari ka raat ne khwab se wabasta rifaqat ke ewaz rasta band rakha din ki numudari ka aisa viran hua hai ki khizan roti hai kal bahut shor tha jis bagh mein gul-kari ka be-sabab jama to karta nahin tir o tarkash kuchh hadaf hoga zamane ki sitamgari ka pa-ba-zanjir kiya tha mujhe aasani ne marhala ho na saka tai kabhi dushwari ka mutmain dil hai ajab bhid se gham-khwaron ki silsila tul pakad le na ye bimari ka