husn teraa guruur meraa thaa sach to ye hai qusuur meraa thaa raat yuu.n tere khvaab se guzraa ki badan chuur chuur meraa thaa aa.ine me.n jamaal thaa teraa tere chehre pe nuur meraa thaa aa.nkh kii har zabaan par kal tak bolne me.n ubuur meraa thaa us kii baato.n me.n naam meraa na thaa zikr bainassutuur meraa thaa ek hii vaqt me.n jujuun-o-khirad laa-shu.uur-o-shu.uur meraa thaa