jin par nisar shams-o-qamar aasman ke hain do zarre khak-e-kishwar-e-hindostan ke hain kohsar fasl-e-gul mein paristan se kam nahin kya kya tilism sabza-e-ab-e-rawan ke hain akhlaq waza tarz rawish sab mein inqalab ab rang-dhang aur hi pir-o-jawan ke hain hai aql dang safha-e-awwal mein aaj tak kahne ko garche sat waraq aasman ke hain