huzur-e-ghair tum ushshaq ki tahqir karte ho

huzur-e-ghair tum ushshaq ki tahqir karte ho
mohabbat karne walon ki yahi tauqir karte ho

abas tum khwahish-e-wasl-e-but-e-be-pir karte ho
jo qismat mein nahin hai us ki kya tadbir karte ho

zamin-o-asman ka farq hai khurshid-o-zarre mein
muqabil chand se kya yar ki taswir karte ho

dam-e-akhir lade wahshi ke zindan mein ye ghul hoga
sitam karte ho viran khana-e-zanjir karte ho

jo mujh sauda-zada ne ki kabhi tashrih zulfon ki
to bole hans ke kya uljhi hui taqrir karte ho

musafir ke liye hai fikr-e-gor ai munimo lazim
imarat kya sara-e-dahr mein tamir karte ho

sahar tak nind ud jati hai ham-sae ki to be-shak
asar kya khak aur ai nala-e-shab-gir karte ho

jo mashq-e-harf-e-la karta hun kahte hain daqiqa-ras
muama-e-dahan-e-yar kya tahrir karte ho

abas dil tod kar yaad-e-butan mein mahw ho itna
khuda ke ghar ko dha kar but-kada tamir karte ho

hamare baad aaoge to kya ai nama-bar kahna
hum aakhir hote hain aane mein tum takhir karte ho

khat-o-rukh ki sifat mein rat lagi rahti hai jo tum ko
'qalaq' kya hifz quran ka ma-e-tafsir karte ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close