iblis bhi rakh lete hain jab nam farishte

iblis bhi rakh lete hain jab nam farishte
main kyun na kahun mujh se bhi hain kham farishte

wo nur hain main khak hun lekin mere bais
lete nahin ek lamha bhi aaram farishte

tanhai mein aa jati hain huren mere ghar mein
chamkate hain masjid ke dar-o-baam farishte

ek main hi to hun raat-gae jagne wala
so jate hain behosh sar-e-sham farishte

jannat se nikala hua insan wahi hai
shaitan bane baithe hain nakaam farishte

hun itna gunahgar ki allah ke aage
lete hue darte hain mera nam farishte

duniya hui aabaad to mere hi sabab se
anjam na de pae koi kaam farishte

kya soch ke insan se sharmae hue hain
dete nahin didar sar-e-am farishte

main ek gunahgar nasihat ka hadaf hun
duniya mein bhi milte hain bahar-gam farishte

ye dukhtar-e-raz dana-e-gandum to nahin hai
chakkhen to sahi baada-e-gulfam farishte

yun ghaib se main dhund ke laya hun mazamin
jaise koi le aae tah-e-dam farishte

jo baat mere dil mein thi aai hai zaban par
ab karte phirenge mujhe badnam farishte

'shahzad' zamana hua lekin meri jaanib
late nahin allah ka paigham farishte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close