ye jo kaam rah gae hain unhen rakh ke ja rahi hun

ye jo kaam rah gae hain unhen rakh ke ja rahi hun
meri zindagi main tujh se bahut thak ke ja rahi hun

yahi dard ke basere yahi hijr ke andhere
ye jo siskiyan hain sari main thapak ke ja rahi hun

faqat ek sans mohlat magar imtihan itne
ye jo talkhiyan thin teri unhen chakh ke ja rahi hun

meri pyas ka muqaddar to ye tishnagi hi thahri
gham-e-ishq ki thi chhagal main chhalak ke ja rahi hun

jahan us ne mud ke dekha wahin zindagi ruki thi
ye jo hairaten hain dil ki main jhatak ke ja rahi hun

teri khushbuon se mahken mere khwab ke jazire
yahi aarzu thi lekin main thapak ke ja rahi hun

tere lams se shanasa nahin ungliyan ye meri
tere hijr ki zamin par main sisak ke ja rahi hun

meri zindagi tu kah de kabhi ja ke chaaragar se
ki ye khwab ka hai madfan main bilak ke ja rahi hun

kisi aag mein jali tu kisi sham mein dhali main
nahin ruh to badan mein so thithak ke ja rahi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close