ibrat-e-dahr ho gaya jab se chhupa mazar mein

ibrat-e-dahr ho gaya jab se chhupa mazar mein
khair jagah to mil gai dida-e-e'tibar mein

tod raha hai baghban pankhudiyan bahaar mein
koi to ho fida-e-gul ek nahin mazar mein

mahw hun yaad-e-chehra-e-shahid-e-gul-azar mein
ab ye khizan-nasib dil ja ke mila bahaar mein

auj-e-nihad-e-taba ki mit ke bhi shan rah gai
mar ke main su-e-asman mil ke uda ghubar mein

mere libas-e-kohna se hatti nahin hai un ki aankh
shayad ulajh gai nazar jama-e-tar-tar mein

tum ne shab-e-firaq mein dekhin nahin jo haalaten
aaj wo aa ke dekh lo aalam-e-ehtizar mein

jazb-e-shamim-e-zulf hai dana-e-dam se siwa
saikdon dil khinch aae hain gesu-e-mushk-bar mein

faisla ho hi jaega chhantne de bhid hashr ki
'saqib'-e-dil-hazin hai aaj tu bhi kisi shumar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close