ilahi aa na paDe phir koi gham-e-taza

ilahi aa na pade phir koi gham-e-taza
uda uda sa hai ru-e-nigar ka ghaza

abhi to kitne hain jin par haram hai saqi
kahin ye tod na den mai-kade ka darwaza

ab inqilab ki zad mein hai teri duniya bhi
bahut bacha ke tu daman chali thi tannaza

ye ek qatra-e-khun markaz-e-do-alam hai
tumhein nahin hai dil-e-na-tawan ka andaza

bhari bahaar mein ye meri chaak-damani
na jaane kab ka uthana pada hai khamyaza


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close