KHwab hun main to meri zat se pahle kya tha

khwab hun main to meri zat se pahle kya tha
abhi jaga hun to is raat se pahle kya tha

apne hone ka ab ehsas hua hai kuchh kuchh
tujh se is tishna mulaqat se pahle kya tha

main agar chup hun ye bahta hua dariya kya hai
lab-kusha hun to meri baat se pahle kya tha

gardish-e-sham-o-sahar ek nigah-e-mahr teri
tere is lutf-o-inayat se pahle kya tha

khushbuen kis ki hain ye rang bhare hain kis ne
mere in khak ke zarraat se pahle kya tha

tujh se kya puchh rahe the ye mah o mahr o nujum
main na tha mere sawalat se pahle kya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close