imtihan humne diye is dar-e-fani mein bahut

imtihan hum ne diye is dar-e-fani mein bahut
ranj khinche hum ne apni la-makani mein bahut

wo nahin us sa to hai khwab-e-bahaar-e-jawedan
asl ki khushbu udi hai us ke sani mein bahut

raat din ke aane jaane mein ye sona jagna
fikr walon ko pate hain is nishani mein bahut

koyalen kukin bahut diwar-e-gulshan ki taraf
chand damka hauz ke shaffaf pani mein bahut

us ko kya yaaden thin kya aur kis jagah par rah gain
tez hai dariya-e-dil apni rawani mein bahut

aaj us mahfil mein tujh ko bolte dekha 'munir'
to ki jo mashhur tha yun be-zabani mein bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close