ujaD ujaD ke sanwarti hai tere hijr ki sham

ujad ujad ke sanwarti hai tere hijr ki sham
na puchh kaise guzarti hai tere hijr ki sham

ye barg barg udasi bikhar rahi hai meri
ki shakh shakh utarti hai tere hijr ki sham

ujad ghar mein koi chand kab utarta hai
sawal mujh se ye karti hai tere hijr ki sham

mere safar mein ek aisa bhi mod aata hai
jab apne aap se darti hai tere hijr ki sham

bahut aziz hain dil ko ye zakhm zakhm ruten
inhi ruton mein nikharti hai tere hijr ki sham

ye mera dil ye sarasar nigar-khana-e-gham
sada isi mein utarti hai tere hijr ki sham

jahan jahan bhi milen teri qurbaton ke nishan
wahan wahan se ubharti hai tere hijr ki sham

ye hadisa tujhe shayad udas kar dega
ki mere sath hi marti hai tere hijr ki sham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close