inkishaf-e-zat ke aage dhuan hai aur bas

inkishaf-e-zat ke aage dhuan hai aur bas
ek tu hai ek main hun aasman hai aur bas

aaina-khanon mein raqsinda rumuz-e-agahi
os mein bhiga hua mera guman hai aur bas

canwas par hai ye kis ka paikar-e-harf-o-sada
ek numud-e-arzu jo be-nishan hai aur bas

hairaton ki sab se pahli saf mein khud main bhi to hun
jaane kyun har ek manzar be-zaban hai aur bas

ajnabi lams-e-badan ki rengti hain chyuntiyan
kuchh nahin hai saat-e-mauj-e-rawan hai aur bas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close