inqilabi soch shair ka qalam apni jagah

inqilabi soch shair ka qalam apni jagah
aap ki angdaiyan zulfon ka kham apni jagah

jaanta hun main tumhaare baatini kirdar ko
jubba-o-dastar-e-ali-mohtaram apni jagah

hum rahe apni ana mein kho na badli aap ne
aap bhi apni jagah hain aur hum apni jagah

aap ki har baat ko taslim farmaya gaya
aap ke farman ke sab besh-o-kam apni jagah

us ke aane ki lagan mein ji raha hun is tarah
kan aahat par lage atka hai dam apni jagah

su-e-maqtal jab chala 'ashraf' utha kar zindagi
sar-kashida tha meri aankhon ka nam apni jagah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close