mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya

mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya
fasle kam ho gae manzil qarib aai to kya

hai wahi jabr-e-asiri aur wahi gham ka qafas
dil pe ban aai to kya ye ruh ghabrai to kya

apni be-tabi-e-dil ka khud tamasha ban gae
aap ki mahfil ke bante hum tamashai to kya

baat to jab hai ki sara gulistan hansne lage
fasl-e-gul mein chand phulon ki hansi aai to kya

lao in be-kaifiyon hi se nikalen rah-e-kaif
waqt ab lega koi pur-kaif angdai to kya

kam-nigahi ne use kuchh aur gahra kar diya
wo chhupate hi rahen rang-e-shanasai to kya

phir zara si der mein chaunkaega khwab-e-sahar
aakhir-e-shab jagne ke baad nind aai to kya

bediyan wahm-e-talluq ki nai pahna gae
dost aa kar katte zanjir tanhai to kya

shorish-e-afkar se 'ejaz' damanda sahi
chhin sakegi phir bhi fikr-o-fan ki ranai to kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close