intizar-e-hashr kar sakte nahin nakaam-e-ishq

intizar-e-hashr kar sakte nahin nakaam-e-ishq
aaj hi ho jae hona ho jo kal anjam-e-ishq

ibtida mein dard-e-furqat maut hai anjam-e-ishq
ahl-e-dil ko na-muwafiq hai hawa-e-baam-e-ishq

be-khudi mein dabdaba aae hain aansu aankh mein
al-madad ai zabt chhalka chahta hai jam-e-ishq

us ki ulfat ne kiya ruswa-e-alam kis qadar
ungliyan uthti hain jate hain jidhar badnam-e-ishq

kyon nasihat mein teri naseh hain ye dil-soziyan
kya tere dil par guzarte hain mere aalam-e-ishq

chashm-e-giryan qalb-e-nalan ki shamatat qahr hai
donon mil kar ek mujhi ko dete hain ilzam-e-ishq

hasraten bhi aaj dil ke sath hi dam tod den
aage pichhe sath walon ka na ho anjam-e-ishq

baam par aa kar zara bikhraiye zulf-e-daraaz
phail jae sare aalam mein sawad-e-sham-e-ishq

aur kya eajaz hota husn-e-laila ke liye
mar gaya majnun magar zinda hai ab tak nam-e-ishq

chaar hi din mein 'nazar' tum is qadar ghabra gae
aasman se koi puchhe gardish-e-ayyam-e-ishq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close