is apni kiran ko aati hui subhon ke hawale karna hai

is apni kiran ko aati hui subhon ke hawale karna hai
kanton se ulajh kar jina hai phulon se lipat kar marna hai

shayad wo zamana laut aae shayad wo palat kar dekh bhi len
in ujdi ujdi nazron mein phir koi fasana bharna hai

ye soz-e-darun ye ashk-e-rawan ye kawish-e-hasti kya kahiye
marte hain ki kuchh din ji len hum jite hain ki aakhir marna hai

ek shahr-e-wafa ke band dariche aankhen miche sochte hain
kab qafila-ha-e-khanda-e-gul ko in rahon se guzarna hai

is nili dhund mein kitne bujhte zamane rakh bikher gae
ek pal ki palak par duniya hai kya jina hai kya marna hai

raston pe andhere phail gae ek manzil-e-gham tak sham hui
ai ham-safaro kya faisla hai ab chalna hai ki thaharna hai

har haal mein ek shoridgi-e-afsun-e-tamanna baqi hai
khwabon ke bhanwar mein bah kar bhi khwabon ke ghat utarna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close