yaqin shart hai aur lazmi hain tadbiren

yaqin shart hai aur lazmi hain tadbiren
har ek lamha badalti rahengi taqdiren

sabhi charagh bujha do hua hai dil raushan
dikhai dene lagi hain tamam tahriren

zara sa waqt lagega qadam uthane mein
abhi abhi to kati hain saqil zanjiren

wo khwab kuchh bhi nahin hain faqat tamasha hain
wo khwab jin ki nahin jaanta main tabiren

mere qalam ka safar le gaya sitaron tak
mere buzurg ki ab bhi wahi hain tahriren

hamari jang mein 'jawed' khun nahin bahta
hamare pas hain fikr-o-nazar ki shamshiren


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close