is gham ko ikhtiyar nahin kar raha hun main ye to nahin ki pyar nahin kar raha hun main apni udasiyon ke nashe mein hun aaj-kal shaghl-e-khum-o-khumar nahin kar raha hun main kuchh der se hai rang-e-tamasha ruka hua ek tir dil se par nahin kar raha hun main ab dekhta hun rah mein duniya saji hoi ab tera intizar nahin kar raha hun main main aap apna dard jagata hun raat bhar kuchh tum pe inhisar nahin kar raha hun main le rakh tu apna harf-e-tasalli bhi pas rakh ye koi karobar nahin kar raha hun main main zist kar raha hun ye tum ko khabar nahin tum par to jaan-nisar nahin kar raha hun main hai dasht ye bhi hadd-e-tasawwur mein is liye is dasht ko bhi par nahin kar raha hun main kya raaz hai ki jis ko batane se peshtar apna bhi e'tibar nahin kar raha hun main yun to rahe ho tum bhi saf-e-dushmanan mein dost lekin tumhein shumar nahin kar raha hun main