mujhse ab tak ye gila hai mere gham-KHwaron ko

mujh se ab tak ye gila hai mere gham-khwaron ko
kyun chhua main ne teri yaad ke angaron ko

zehn o dil hashr ke suraj ki tarah jalte hain
jab se chhoda hai tere shahr ki diwaron ko

aaj bhi aap ki yaadon ke muqaddas jhonke
chhed jate hain mohabbat ke gunahgaron ko

aarzu soch tadap dard kasak gham aansu
hum se kya kya na mila hijr ke bazaron ko

tere jalte hue honton ki hararat na mili
meri tanhai ke bhige hue rukhsaron ko

tum ko mahaul se ho jaegi nafrat 'azar'
itne nazdik se dekha na karo yaron ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close