is hujum-e-be-aman mein koi apna bhi to ho

is hujum-e-be-aman mein koi apna bhi to ho
main gale kis ko lagaun koi zinda bhi to ho

barg-e-awara hawa na-ashna be-mehr phul
aate jate mausamon mein koi thahra bhi to ho

sab gharon mein lazzat-e-asudgi hai khema-zan
main sada kya dun yahan par koi sunta bhi to ho

phir se shakh-e-dar par khilne lagen lale ke phul
phir se duniya jag utthe koi aisa bhi to ho

tut jata aap hi be-dard sannate ka zor
khauf se bahar nikal kar koi bola bhi to ho

main ne us ko dil-nawaz-o-khush-ada kya kya kaha
meri is zinda-dili ko koi samjha bhi to ho

main bhi kah deta ye mere khwab ki tabir hai
teri tabiron mein mera khwab bola bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close