jo mujh pe qarz hai is ko utar jaun main ye aur baat hai jito ki haar jaun main kabhi main khwab mein dekhun hari bhari faslen kabhi khayal ke dariya ke par jaun main ek aur marka-e-jabr-o-ikhtiryar sahi ek aur lamha-e-taza guzar jaun main bikhar gae hain jo lamhe samet lun un ko bigad gae hain jo naqshe sanwar jaun main kabhi to apni talab mein bhi is tarah niklun khud apne-ap se begana-war jaun main lahu ka rang ki aatish ka rang kuchh to ho jo naqsh dab se gae hain ubhaar jaun main mohabbaton ko na lag jae nafraton ki nazar khuda kare ki har ek dukh sahaar jaun main phir apna aks main apni hi zat mein dekhun jo ho sake to har ek dukh ke par jaun main kisi ke rang mein khud ko main rang lun 'athar' jawab aae na aae pukar jaun main