is inkisar ka idrak tujhko kam hoga

is inkisar ka idrak tujh ko kam hoga
mere charagh ki lau mein bhi thoda nam hoga

lapak padunga main taswir se teri jaanib
ye teri samt mera aakhiri qadam hoga

guzishta raat mujhe sidhiyon mein yaad aaya
teri thakan ka sabab bhi kisi ka gham hoga

main jaanta tha mujhe raushni wadiat hai
main jaanta tha mere hath mein qalam hoga

hamare sanehe tahdar kar diye gae hain
hamari tirgi ka aag se janam hoga

main khushk jhil mein sahmi hui nami hun dost
mera machheron ke giton se khauf kam hoga

safar mein us ko agar ped kam pade 'arish'
to us ka rasta mere raste mein zam hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close