is jahan se koi bhi sauda na kar dekh apne aap ko ruswa na kar chhin kar yaadon ka sarmaya meri is bhari mahfil mein yun tanha na kar ajnabi hun ajnabi hi rahne de is tarah meri taraf dekha na kar pattharon ki chot sah leta hun main phul yun meri taraf phenka na kar kar 'sahar' ki aabru ka kuchh khayal mahfil-e-aghyar mein charcha na kar